Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par

Aaya na ho ga is tarah rang-o-shabab rait par
Gulshan-e-Fatimah kay thay saray gulab rait par

Jaan-e-batool kay siwa koi nahi khila saka
Qatra-e-Aab kay bagair itnay gulaab rait par

Tarsay Hussain aab ko man jo kahoon too bay adab
Lums-e-lab-e-Hussain ko tarsa hay aab rait par

Ish’q man kia lutaye ishq man kia bachaye
Aal-e-Nabi ne likh dia sara Nisaab rat par

Lazzat-e-sozash-e-bilaal, shoq-e-shahadat-e-Hussain
Jis nay lia yoonhi lia apna khitaab rat par

Jitney sawal ishq aal-e-Rasool say kiye
Ayek say barh kay ik dia sab ne jawaab rait par

Aal-e-Nabi ka kaam tha Aal-e-Nabi hi kar gay
Koi na likh saka Adeeb ayesi kitaab rait par