Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira

Ala aman qahar hay aye gauth wo taikha Taira
Mar kay bhi chain say sota nahi mara Tera

Badloon say kahian rukti hay karhkti bijli
Dhalain chint jati hain uthta hay jo taiga Tera

Ak’s ka daikh kay mun aur bahpar jata hay
Char aayena kay bal ka nahi naiza Tera

Koh sar makh ho to ik war man do par kaalay
Haath parhta hi nahi bhool kay oucha Taira

Us pe ye qahar kea b chand mukhalif Tairay
Chahtay hain ke ghata dain kahian paya Tera

Aqal hoti to khuda say na larhaye laitay
Ye ghatayen , usay manzoor barhana Tera

Ka hay Saya Tujh par وَرَفَعۡنَا لَکَ ذِکۡرَکۡ
Bol bala hay Tera Zikr hay uncha Tera

Mit gay Tutay hain mit jaye gay aada Taray
Na mita hay na mitay ga kabhi charcha Tera

Tu ghataye say kisi kisi kay na ghata hay na ghatay
Jab bharhaye Tujhay Allah tala Tera

Samm-e-qatil hay Khuda ki qasam un ka inkaar
Munkir fazal Huzoor Aah ye likha Tera

Meray siyaaf kay khanjar say tujhay baak nahi
Cheer kar daikhay koi Aah kalaija Tera

Ibn-e-zahara say teray dil man hain ye zahar bharay

Bal bay ao munkar-e-bay baak ye Zahra Tera

Baaz-e-shahab ki Gulami say ye aankhain phirni
Daikh urh jaye ga imaan ka tota Tera

Shaakh par baith kay jarh kaatanay ki fikr man hay
Kahin neecha na dikhaye tujhay shujra tera

Haq say bad ho kay zamana ka bhala banta hay
Aray man khoob samjhta hoon Mamma Tera

Sag-e-dar qahar say daikhay to bikharta hay abhi
Band band-e-badan aye rooba dunya Tera

Ar’z Aaqa say karoon ar’z ke teri panah
Bandah-e-majboor hay khatir pe hay qabza Tera

Hukum nafiz hay tera khama tera saif Teri
Dam man jo chahay kray door hay shaha Tera

Jis ko lalkaar day Aata ho to ulta phir jaye
Jis ko chamkaar lay har phir kay wo Tera Tera

Kunjian dil ki Khuda nay tujhay den ayesi kar
K ye seena ho Muhabbat ka khazeena Tera

Dil pe kundah ho tera naam ke wo duzd-e-Rajeem
Ultay hi paon phiray daikh kay tugra tera

Naza’e gor man, meezan pe, sar-e-pal pe kahin
Na chutay haath say damaan-e-muallah Tera

Dhoop mahshar ki wo jaan soz qiyamat hay magar
Mutmain hoon ke meray sar pe hay palla tera

Bahjat is sar ki hay jo bahjatul israar man hay
Ke falak waar mureedoon pe hay saaya tera

Aye raza chest gam arjmalah jahan dushman-e-tist
Kardah am ma man-e-khud qiblah haja taira


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46