Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi

Aye sukoon-e-qalb-e-muztar aye qarar-e-zindagi
Aye ameen-e-raaz-e-fitrat, aye bahar-e-zindagi

Teri har har junbash-e-lab barg-o-baar-e-zindagi
Too diyar-e-ishq man hay shehryar-e-zindagi

Teray qadmoon ki badolat teri aamad kay tufail
Gulustan hi gulustan hay khar zaar-e-zindagi

Tera qur’b-e-khaas pakar teray dast-e-paak man
Sangraizay ban gay han shahkar-e-zindagi

Jis ne paye teri nisbat ho gaya wo Zee waqar
Aye furog-e-aadmiat, aye waqar-e-zindagi

Shayeran-e-husun-e-fitrat, Sahiban-e-dark-o-faham
Hay qadam bosi man har ik wazadar-e-zindagi

Daras tera Zalimoon say jang, mazloomoon say piyar
Kitni sadah ho gaye rah guzar-e-zindagi

Aadmi ko aadmi say piyar ka nuskha dia
To Tabeeb-e-khalq hay, teemar dar-e-zindagi

Too nay aa kar di nigahoon ko baseerat Husun ki
Warna thi mahdood lafzoon man’ bahar-e-zindagi

Too nay sahraye Takhayyul man lagaye gulustan
Aur chatanoon say nikalay Aabshar-e-zindagi

Goonj uthay nagmay lagaye to nay jab mazraab-e-ish’q
Ba rabt-e-fitrat pet ha khamosh taar-e-zindagi

Bay khabar dunya wama feeha say Too ne kar dia
Kia sharaab-e-zindagi hay, kia khumaar-e-zindagi

Rooh-o-jaan ki saltnat par hukmrani hay teri
Ham gulaam-e-ish’q hain, to Tajdar-e-zindagi

Ish’q ki deewangi kay samnay sab haich hain
Torh daiti hay Mahabbat’ har hisaar-e-zindagi

Teray paye naaz ka ik lams pa kar hay rawan
Chan chanatey, gungunatey joyebar-e-zindagi