Mangtoon pe Nazar Ya ganj-e-shakar Aabad rahay tera pakpatan
Aye Khuwaja Qutub kay nor-e-Nazar Aabad Rahay Tera pak patan

Teri deed ko apni Eid kahian, sab tujh ko Fareed Fareed kahain
Daitay han Sada Khuwaja Kalyar aabad Rahay tera Pak patan

Yoon baba teri barat saji, peechay han wali Aagay han Nabi
Nabiyoon kay Nabi bhi Teray ghar Aabad rahay Tera pak patan

Sehray ki Rangat Ajmeri, han Noor kay Taaray Hajwairi
Makhdoom-o-Nizam Parhain Mil kar Aabad rahay Tera Pak patan

Man Kiyoon na Fareed Fareed Kahoon, Man Kiyoon na Teri chokhat chomoon
Hay dar Tera Jannat ka ghar Aabad Rahay Tera Pak patan

Ho Khair Gareeb Nawazi ki, Bharo jholi Gareeb Niazi ki
Hoti hay yaheen Mangtoon ki guzar Aabad Rahay Tera Pak patan

Poet :Abdul Sattar Niazi

No comments yet

Karam kay badal baras rahay han, Diloon ki khaitey harey bharey hay
Ye kon Aaya kh Zikr jinka , nagar nagar gali gali hay
Diay diloon kay jala kay rakhna , Nabi ki mehfil saja kay rakhna
Jo rahat-e-Sukoon jaan hay , wo Zikir Zikir-e-MUHAMMADI hay
Jo galiyan sun kay day duain , buroon ko apnay galay lagain
Sarapa lutuf-o-karam jo Thehrey wo meray aaqa ki zindagi hay
Nabi ko apna Khuda na mano , khuda say lakin juda na mano
Hay ahal-e-Eiman ka ye aqeedah Khuda khuda hay Nabi Nabi hay
Man Apni qismat pe kion na jhoomon man kion na walyoon kay dar ko choomoon
Man naam lewa Mustafa ka , Khdua kay bandoon say dosti hay
Hay dosh pr jin kay kamley kali , wo hi to han do jahan kay wali
Koi suwali na bheja khali ye shan meray kareem ki hay
Na mango dunya kay tum khazanay Niazi chalain Madeenay
Ke Badashah say barh kar piyaray Nabi kay dar ki Gada gari hay

Poet :Abdul Sattar Niazi

No comments yet

Khusrawi achi lagi na sarwari achi lagi
Ham faqeeroon ko Madeenay ki gali achi lagi
Door thay to zindagi bay rang thee by kaif thee
Un kay koachay main gay to zindagi achi lagi
Main na jaon ga kahin bhi Dar-e-Nabi ka chor kar
Mujh ko koi Mustafa ki chakri achi lagi
Naaz kar to aye Haleema Sarwar-e-konain par
Gar lagi achi to tiri jhonpri achi lagi
Walihana ho gay jo teray qadmoon par nisar
Sarwar-e-kon-o-makan ki sadgi achi lagi
Aaj mehfil main Niazi naat jo main nay parhe
Aashiqan-e-Mustafa ko wo barhi achi lagi

Poet :Abdul Sattar Niazi

No comments yet