Charoon Taraf Noor Chaya,
Aaqa Ka Milad Aaya,
Khushiyon Ka Pegham Laya,
Aqa Kaa Milad Aya.
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah,
Allah, Allah, Allah, Allah, Allah, Allah.
Shams-O-Qamar Aur Taaray,
Kyun Na Hon Khush Aaj Saaray,
Unsay He To Noor Paaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Khushiyan Manatay Hain Wohi,
Dhoomain Machatay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Ghar Ko Sajatay Hain Wohi,
Jhanday Lehratay Hain Wohi,
Jin Par Hua Unka Saaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Hai Shaad Har Ek Muslimaan,
Karta Hai Ghar Ghar Charaghaan,
Galiyoon Ko Bhi Jagmagaya,
Aaqa Ka Milad Aaya…
Mukhtar-e-Kul Maanay Jou Unhein,
Noori Bashar Jaanay Jou Unhe,
Naara Ussi Nay Lagaya,

Poet :Muhammad Ovais Ubaid Raza Qadri

No comments yet

Jannat Meyn ley ke jaey gi Chaahat Rasool ki
Kiyun kar na meray dil meyn ho Ul’fat Rasool ki
Jannat meyn lay ke jaey gi Chaahat Rasool ki
Chalta hoon meyn bhi Qafiley walo ruko! Zara
Milney do bus mujhay bhi Ijaazat Rasool ki
Phocheyn Jo Deen-o-Eiman Nakerayn Qab’r mein
Us waq’t meray lab pay ho Mid’hat Rasool ki
Tarhpa kay Un key Qadmun meyn mujh ko gira dey Shuoq
Jis waq’t ho lahad meyn Ziyaarat Rasool ki
Sarkar ney bula key Madeenah dikha diya
Ho gi mujhey naseeb Shafa”at Rasool ki
Ya Rabb dikha day Aaj ki Shab Jalwaey Habeeb
Ik bar to Aata ho Ziyarat Rasool ki
Daman mein Un key ley lu panah Aaj munkiro
Mahngi parey gi warna A’daawat Rasool ki
Tu hey Ghulaam Un ka Ubaid-e-Raza teray
Mahshar meyn ho gi saath Himayat Rasool ki
Kiyun kar na meray dil meyn ho Ul’fat Rasool ki
Jannat meyn ley key jaey gi Chaahat Rasool ki

Poet :Muhammad Ovais Ubaid Raza Qadri

No comments yet

Ho Karam Sarkar Ab Tu Ho Gaey Gham Beshumaar
Jaan-o-Dil Tum Par Fidaa Aey Do-Jahan Ke Taaj Dar
Meyn Akeyla Aur Masyil Zindagi Ke Beshumaar
Aap Hi Kuch Ki jiye Na Ae Shah-e-A’ali Waqaar
Yaad Aata Hey Tawaaf-e-Khana-e-Ka’aba Mujhe
Aur Lipatna Multazam Se Waalihana Baar Baar
Sang-e-As’wad Choom Kar Milta Mujhey Kayf-O-Suroor
Chayn Paata Dekh Kar Dil Mus’tajaab-O-Mus’tajaar
Gumbad-e-Khizra Ke Jalway Aur Wo Iftariyan
Yaad Aati Heyn Bohot Ramazan-e-Taiybah Ki Bahaar
Ya RasoolALLAH Sunn Leejiye Meri Faryad Ko
Kon Hey Ju Ke Sunay Tere Siwaa Meri Pukaar
Ghum Zadaa Youn Na huwa Hota Ubaid-e-Qadri
Is Baras Bhi Dekhta gar Sab’z Gumbad ki Bahaar

Poet :Muhammad Ovais Ubaid Raza Qadri

No comments yet