Aeysa koi Mahboob na hoga , na kahin hay
Baitha hay Chitaye Pe Magar arash nasheen hay
Milta nahin kia kia do jahan ko tiri dar say
Ik lafz nahin hay ke tire lab pe nahin hay
To chahey to har shab ho missal-e-Shab Isra
Tiri lie do char qadam arsh brin hay
Har ik ko mayasar kahan is dar ki gulami
Us Dar ka to darban bhi jibril amen hay
Aye Shah-e-Zaman Ab to Ziyart ka Sharaf day
Bay chain hain Aankhain miri baitab jabin hay
Dil girya kinan aur nazar sooye Madina
Aazam Tira Andaz-e-talab kitna Haseen hay

No comments yet