• Slide 1
  • Slide 2

Ye qaul sach hay Habeeb-e-dawar, Durood Tum par Salam Tum par
Tumhara koi nahi hay hamsar, Durood Tum par Salam Tum par

Ham aasiyoon ka sahara tum ho, ke jis ko dil say pukara tum ho
Ho rahnma Tum , Tumehain ho rahbar, Durood Tum par Salam Tum par

Tumhara rutba hay ouncha sab say, ke tum ho aala-o-bala sab say
Ho chand tum to Sahaba Akhtar, Durood Tum par Salam Tum par

Ho dhoop mahshar man taiz jis din, Tapash say sab kay badan jalay hoon
Ata ho rahmat ki ham ko chadar, Durood Tum par Salam Tum par

Nuzool-e-Rahmat Tumharay dam say, Husool-e-barkat tumhari nisbat
Rasool-e-Akram Huzoor-e-Anwar, Durood Tum par Salam Tum par

Sha’oor jeewan Tumhi nay bakhsha, Tumhi nay rasta dikhaya seedha
Tum hi ho bhatkay huwoon kay Rahbar , Durood Tum par Salam Tum par

Quloob-e-aalam man bastay Tum ho, ke Rooh-e-Dunya man rahtay tum ho
Tumhara charcha Rahay ga ghar ghar, Durood Tum par salam tum par

Wo Hajr-e-Aswad, wo Aab-e-Zam zam, wo Gar-o-pathar, Sutoon-o-member
Tumhari Nisbat milay han gohar, Durood tum par salam tum par

Hay harjr-e-Tayebah man Aankh Purnam, Mujhay bhi khushiyon bhara do jeewan
Gamoon ki orhay hoon sar pe chadar, Durood Tum par Salam Tum par

Jo jism-o-jan man han zakham Aaye dikhaon kesay, bataon kesay
Ho chara gar tum maseeha Akbar, Durood tum par Salam tum par

Kahani Gam ki Tumhain Sunaon, fasana dukh ka kahoon ga Tum say
Ho Tum hi Pursan-e-hal-e-Mujtar, Durood Tum par Salam Tum par

Talab hay ham ko karam ki Aaqa, Hamain hay Rahmat ka Aasra bhi
Parhay han dukh kay saroon pe Pathar, Durood Tum par Salam Tum par

Judai ka bhi Ajab Maza hay magar do izn-e-Safar khudara
Ke Rakho marham ko Zakham-e-Dil par, Durood Tum par Salam Tum par

Nazar ko meri dikha do jalwa ke dil ko meray Qarar Aaye
Sadain deta hay dil ye Mujtar, Durood Tum par Salam Tum par

Jabeen-e-Khursheed-o-mah-o-Anjum jhuki hay sab ki Tumharay dar par
Firshtay Tum say nahi han behtar, Durood Tum par Salam Tum par

Hain Subhain shayer baharoon jesi, suhani jis ki han sari shamain
Haseen wahan ka dikha do manzar, Durood Tum par Salam Tum par