Chalo diyar-e-Nabi ki janib

Chalo diyar-e-Nabi ki janib Durood Lab par saja saja kar
Bahar loutain gay ham karam ki , diloon ko daman bana bana kar
Na un kay jesa sakhi hay koi na un kay jesa Gani hay koi wo hay nwaon ko har jaga say nawaztay han bula bula kar
Main wo nikama hon jis ki jholi main koi husun-e-Amal nahi hay
Magar wo ihsan kar rahay han khatain meri chupa chupa kar
Hay un ko ummat say piyar kitna karam hay Rahmat shiyar kitana
Hamaray jurmoon ko dho rahay han wo apnay Aansoon baha baha kar
Ye hi Asas-e-amal hay meri usi say bigri bani hay meri
Sametata hoon karam khuda ka Nabi ki naatain suna suna kar
Wo rahain ab tak saji hui han diloon ka kaba bani hui han
Jahan jahan say Huzoor guzray han naqsh apna jama jama kar
Agar muquddar nay yawari ki agar madeenay gaya main Khalid
Qadam Qadam Khak us gali ki main choom loon ga utha utha kar