Falak ke nazaruo

Falak ke nazaruo, zameen ki bahaaruo
Sub Eidein manawo Huzoor agaey heyn
Uttho bay-saharo chalo gham ke maaro
khabar ye sunawo Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Anokha niraala Wo Zee-Shaan Ayaa
Wo saray Rasoolun ka Sultan Aayaa
Aray kaj-kula’ho aray baadshaho
Nigaheyn jhukao Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Huwaa char su Rahmataun ka ba’seyra
Ujaala Ujaala, Sawera, Sawera
Halima (رضی اللہ عنہا ) ko pohnchi khabar Aaminah (رضی اللہ عنہا )ki
Mere ghar meyn aao, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Hawaun meyn jazbaat heyn Marhaba ke
Fazaun meyn naghmaat Salle A’lla ke
Durooduwn ke gajrey, Salamuwn ke tohfey
Ghulamon sajawo, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Saman hey sana-e-Habeeb-e-Khuda ka
Ye Meelad hey Sarwarey Ambiyaa ka
Nabi ke gadawo sub ek doosre ko
Khabar ye sunao, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn
Kahaan mayn Zahuri kahaan Un ki Bateyn
Karam hi Karam heyn ye Din aur Ratein
Jahaan par bhi jaao diluwn ko jagawo
Yahi kehte jawo, Huzoor agaey heyn
Huzoor agaey heyn, Huzoor agaey heyn