Hay kalaam-e-ilahi man shams-o-dhuha teray chehra-e-Noor fiza ki qasam

Hay kalaam-e-ilahi man shams-o-dhuha teray chehra-e-Noor fiza ki qasam
Qasam-e-shab-e-taar man raaz ye tha ke Habeeb ki zulf-e-do ta ka qasam

Teri khulq ko haq ne Azeem kaha teri khulq ko haq nay jameel kia
Koi tujh sa huwa hay na hoga shaha teray khaliq-e-husun-o-ada ki qasam

Wo Khuda nay he martba tujh ko dia na kisi ko milay na kisi ko mila
Ke Kalaam-e-majeed ne khaye shaha teray shahr-o-kalaam-o-baqa ki qasam

Tera masnad naaz hay ar’sh-e-bareen tera muhrim raaz Rooh-e-Ameen
To hi sarwar-e-har do jahan hay shaha tera misil nahi hay Khuda ki qasam

Yehi ar’z hay khaliq-e-arz-o-samaa wo Rasool hain teray man banda tera
Mujhay un kay jawaar man day wo jaga ke hay khuld ko jis ki Safa ki qasam

Too hi bandoon pe karta hay lutuf-o-ata hay tujhi pe bharoon tujhe say dua
Mujhay jalwa-e-paak Rasool dikha tujhay apnay hi Azz-o-ala ki qasam

Meray garcha gunah had say siwa magar un say umeed hay tujh say raja
Tu Raheem hay un ka karam hay guwa wo kareem hain teri ata ki qasam

Yehi kehti hay bulbul-e-baag janan ke raza ki tarah koi sahar biyan
Nahi hind man wasif-e-shah-e-huda mujhay shokhi taba’e-e-Raza ki qasam