Ishq mola man ho khoon baar kinaar-e-daman

Ishq mola man ho khoon baar kinaar-e-daman
Ya khuda jald kahian aaye bahar-e-daman

Ba chlai aankh bhi ashkoon ki tarah daman par
Ke nahi taar nazar dosa taar-e-daman

Ashk barsaoun chalay kocha-e-janaan say naseem
Ya Khuda jald kahin niklay bukhaar-e-daman

Dil shudoon ka ye huwa daman-e-athar pe hujoom
Baidil aabad huwa naam dayar-e-daman

Mushk sa zulf shah-o-noor fashan roo-e-Huzoor
Allah Allah halb-e-jaib-o-tataar-e-daman

Tujh say aye gul man sitam deedah-e-dasht-e-hirmaan
Khalash dil ki kahoon ya gam-e-khaar-e-daman

Ak’s afgan hay hilaal-e-lab-e-shah jaib nahi
Mahar aariz ki shuayen hain na taar-e-daman

Askh kehtay hain ye shaidaye ki aankhain dho kar
Aye adab gird-e-nazar na gubaar-e-daman

Aye Raza aah wo bulbul ke nazar man jis ki
Jalwa-e-jaib gul aye na bahaar-e-daman