Kahin na daikha Zamanay

Kahin na daikha Zamanay bhar man jo Madeenay man Aa kay Daikha
Tajallion ka laga hay maila jidhar nigahain utha kay daikha
Wo daikho daikho sunahri jali idhar suwali suwali
Qareeb say jo bhi un kay guzra Huzoor nay Muskra kay daikha
Ajeeb lazzat hay Khudi ki Ajab kashash hay Dar-e-Nabi ki
Suroor kesa hay kuch na chou lipat kay seenay laga kay daikha
Tawwaf Rozay ka kar rahi han yahan wahan ashak bar aankhain
Hay gonj Salle Ala ki har soo jahan jahan pe bhi ja kay daikha
Jahan gay un ka Zikar chaira jahan rahya un ki yad aaye
Na gam zamanay kay pas Aay Nabi ki naatain suna kay daikha
Zahoori jagey Naseeb teray bas ik Nigah-e-Karam kay Sadqay


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46