Kharaab hal kia dil ko pur malal kia tumharay kocha say rukhsat kia nihaal kia

Kharaab hal kia dil ko pur malal kia tumharay kocha say rukhsat kia nihaal kia
Na roo-e-gul abhi diakha na boo-e-gul soonghi qaza nay la kay qafs man shikast baal kia

Wo dil ke khoon shudah arman thay jisman mal dala Fagan keg or-e-shaheedan ko payemal kia
Ye raye kia thi wahan say palatnay ki aye naf’s sitam gar ulti churi say hamain hilaal kia

Ye kab ke mujh sy adawat thi tujhko aye zaalim churha kay sang-e-dar paak sarw baal kia
Chaman say phiank dia aashiyana-e-bulbul ujaarha khana-e-bay kas barha kamaal kia

Tera sitam zadah aankhoon nay kia bigarha tha ye kia samaye ke door un sy wo Jamaal kia
Huzoor un kay khiyaal-e-watan mitana tha ham Aap mit gay acha faraag baal kia

Na ghar ka rakha na is dar ka haye naakami hamaari bay basi par bhi na kuch khiyaal kia
Jo dil ne mar kay jalaya tha manatoon ka charrg sitam ke ar’z rah-e-sar sar-e-zawaal kia

Madeenah chorh kay wairaanah hind ka chaaya ye kesa haye hawasoon ne ikhtilaaf kia
Tu jis kay wastay chorh aaya Tayyebah sa Mahboob bata to is sitam aara ne kia nihaal kia

Abhi abhi to chaman man thya chehchehay naagah ye dar kiesa utha jis nay ji nidhaal kia
Ilahi sun lay Raza jeetay je ke Mola ne sagan-e-kocha man chehrah mera bahal kia


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46