Lutuf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakaam ho hi jaye ga

Lutuf un ka aam ho hi jaye ga shad har nakaam ho hi jaye ga
Jaan day do wada deedar pr naqad apna daam ho hi jayega

Shad hay firdos yani ayek din qismat-e-Khudaam ho hi jayega
Yaad rah jayen gi ye bay bakian nafs to to raam ho hi jaye ga

Bay nishanoon ka nishaan mitta nahi mittay mittay naam ho hi jayega
Yaad-e-gaisoo zikr-e-haq hay aah kar dil man paida laam ho hi jaye ga

Ayek din aawaz badlain gay ye saaz chehcheha kuhraam ho hi jayega
Sayelo! Daman sakhi ka thaam lo kuch na kuch inaam ho hi jaye ga

Yaad-e-abro kar kay tarhpo bulbulo! Tukrhay tukrhay daam ho hi jayega
Mufliso! Un ki gali man ja parho baag-e-khuld ikraam ho hi gayega

Gar yoon hi rahmat ki taweelian rahin madah har ilzaam ho hi jayega
Badah khuwari ka saman bandhay to do sheikh durd aasham ho hi jayega

Gam to un ko bhool kar lipta hay yoon jaisay apna kaam ho hi jayega
Mit kar yoon hi rah qarz-e-hayaat jaan ka neelam ho hi jayega

Aaqilo! Un ki nazar seedhi rahay boroon ka bhi kaam ho hi jayega
Ab to laye hay shafaat af’w par barhtay barhtay aam ho hi jayega

Aye raza har kaam ka ik waqat hay
Dil ko bhi aaram ho hi jayega