Man Madeenay man hoon aur zik’r peyambar bhi Naseeb

Man Madeenay man hoon aur zik’r peyambar bhi Naseeb
Ya’eni piyasay ko hay darya dar darya bhi Naseeb

Khushboo-e-zuluf bhi ak’s-e-rukh-e-anwar bhi Naseeb
Subuh-e-kafoor bhi’ aur sham-e-muanbar bhi Naseeb

Rukh pe malnay kay liy’ Rooh man dhalnay kay liye
Gird-e-kocha bhi Naseeb, baad-e-muattar bhi Naseeb

Masnad-e-Suffah kay anwar wo baab-e-jibreel
Us gunahgar ki aankhoon ko wo manzar bhi Naseeb

Meri aankhoon man Haram aankh say bahir bhi haram
Khana-e-chasham ko aayenah ka johar bhi Naseeb

Un ki yadoon ko jahan chain say neend aati hay
Naam say dil kay hay ik hajra-e-bay dar bhi Naseeb

Ayek ik lamha meray lab ko Madeenay man adeeb
Kalam-e-shukur bhi aur naat-e-peyambar bhi Naseeb