Man makkay man phir aa giya ya Ilahi karam ka

Man makkay man phir aa giya ya Ilahi karam ka teray shukriya ya Ilahi
Na kar rad koi Iltija ya ilahi ho maqbool har ik Dua ya Ilahi
Rahay Zikr Aathoon pahar meray lab par tera ya Ilahi tera Ya Ilahi
Meri zindagi bas teri bandage man hi aye kaash! Guzray sada ya Ilahi
Na hoon ashak barbad dunya kay Gam man Muhammad kay Gam man Rula Ya Ilahi
Ata kar day Ikhlas ki mujh ko Nemat na nazdeek Aaye Riya Ya Ilahi
Muhjhay olya ki Muhabbat Ata kar Too Deewana kar Gauth Ya Ilahi
Man Yad-e-Nabi man Rahoon Gum hamaishah mujhay un kay Gam man ghula Ya Ilahi
Meray bal bachoon pe saray qabeelay pe Rahmat ho teri sada Ya Ilahi
De Deewanoon balke sabhi ko Madeenay ka Gam Ya Khuda Ya Ilahi
Khudaya Ajal aakay sar par kharhey hay dikha jalwa-e-Mustafa Ya Ilahi
Meri Laash say saanp bichoo na liptain Karam bahar-e-Ahmad Raza Ya Ilahi
Too Attar ko sabz-e-Gumbad kay saye
Man kar day shahadat Ata Ya Ilahi