Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi

Meray tarz-e-sukhun ki jaan hain gul bhi gulustaan bhi
Mera husun-e-bayan hay khaar bhi chaak-e-giraiban bhi

Meray daaman man, jugnoo hain jahan aur chand taaray bhi
Isi daaman man rakhtaa hoon kuch aahian aur shararay bhi

Jo meri umar ka hasil hay zik’r-e-Mustafa karna
Taqaza-e-Muhabbat hay bayan-e-karbala karna

Taqaza hay zameer-e-shayer haq go ki fitrat ka
Ke haq goi-o-baibaki pe mabni ho sukhun us ka

Bayan sayyid-ush-shuhadaa’e ki jab tamheed hoti hay
Wo hi ahad-e-wafa kay rasam ki tajdeed hoti hay

Hussain ibn-e-Ali, sabt-e-peyambar, sharf-e-Insaani
Wo jis kay rukh pet hi Noor-e-Muhammad ki farawani

Shaheed-e-karbala tareekh ka unwaan hay goya
Hussain ib’n-e-Ali har qal’b man mehmaan hay goya

Bataya’ kis tarah kartay hain ummat ki nigahbaani
Sikhaya, kis tarah rakhtay hain sajdoon man ye paishaani

Jalaya us ne zulmat man charaag-e-Noor-e-imaan
Ye sab kuch jaantay thay phir usay daitay na thay paani

Buhut hi mukhtasar’ bandoon say Rab ka fasla nikla
Haram say lay kay ahl-e-bait ko, jab qaflah nikla

Amaamah baandh kar ah’d-e-wafa ka, Karbala Jana
Tha ummat kay liye Maqsood un raahoon ka dikhlana

Wo rahain jo urooj-e-aadmiat ka sabab thihreen
Zawaal-e-zulum thehreen, Haq parastoon ka laqab thehreen

Arab ki sar zameen’ taptay huway sehra, khazaan kay din
Safar man thay Rasool-e-hashmi ki jaan-e-jaan kay din

Ye manzil aazmayesh ki barhi dushwaar hoti hay
Fiza man zahar hota hay, hawa aazar hoti hay

Jab hasti mard-e-momin ki supard-e-daar hoti hay
To saye kay liye sar par faqat talwaar hoti hay

Wo jis ki shaan man thi aayah tatheer-e-Qurani
Isi ki ahl-e-koofah nay kia naizoon say mehmani

Talab Nana say kausar ki shafaa’et ki sufarah bhi
Nawasay par wohi karnay lagay teroon ki barish bhi

Jalay khaimay badan chalni thay khoon man tar qabayen then
Khuda ko jo pasand aati hain wo saari adayen theen

Wo chehray Noor kay thay, gird jin kay Noor kay haalay
Banay wo khaak-o-khoon man ayek ho kar karbala waalay

Wo chehray wo badan jo ish’q ka israar hotay hain
Gubaar-e-khaak say un kay kafan tayar hotay hain

Na hota gar Muhammad ka gharaana ayesi mazal par
Tu urh jaata faraug deen ka mustaqbal dhuwan ban kar

Salaam us par ke jo Haq kay liye sar bhi kata aaya
Salaam us par jo ummat kay liye ghar bhi luta aaya

Salaam us par mera jo khoon kay darya man tera hay
Salaam us par ke jo Nana kay parcham ka pheraira hay

Salaam us par ke jis ne zindagi ko zindagi bakhshi
Saroon ko sar bulandi aur zauq-e-bandagi bakhshi

Salaam us par ke jo dosh-e-peyambar ki sawaari hay
Salaam us par ke jannat jis kay ghar ki raahdari hay

Teer seenay pe, barchi push’t par jhailay huway insaan
Salaam aye Fatimah ki god man khailay huway insaan

Buhut Aasan hay zik’r-e-shaheed-e-karbala karna
Daroon-e-qal’b mushkil hay wohi haalat bapa karna

Shaheed-e-karbala kay zikr ka mujh par jawaab Aaya
Ke teri Zaat man ab tak na koi inqilaab aaya

Saraasar aabroo bin gairat-e-sharam-o-haya ho ja
Agar mujh say Muhabbat hay to mera naq’sh-e-pa ho ja