Na ar’sh-e-aiman na اِنّی ْ ذاہبٌ man mehmaani hay

Na ar’sh-e-aiman na اِنّی ْ ذاہبٌ man mehmaani hay
Na Lutuf اُدْنُ یَا اَحْمَدْ Naseeb لَنْ تَرَانِی hay

Naseeb dostaan gar un kay dar par mot aani hay
Khuda yoon hi karay phir to hamaishah zindagani hay

Usi dar par tarhptay hain machaltay hain bilaktay hain
Utha jaata nahi kia khoob apni naatwani hay

Har ik deewaar-o-dar par mihar nay ki hay jabeen saaye
Nigaar-e-masjid-e-aqdas man kab sonay ka paani hay

Teray mangta ki khamoshi shafaat khuwaah hay us ki
Zabaan-e-bay zubaani tarjmaan-e-khastah jaani hay

Khulay kia raaz-e-Mahboob-o-muhib mastaan-e-gaflat par
Sharaab قَدرَای الحق zaib-e-jaam-e- مَنْ رَاٰنِیhay

Jahan ki khakroobi nay chaman aara kia tujh ko
Saba ham nay bhi un galyoon ki kuch din khaak chaani hay

Shaha kia zaat teri haq numa hay fard-e-imkaan man
Ke tujh say koi awwal hay na tera koi saani hay

Kahan us ko shak-e-jaan-e-janaan man zar ki nuqaashi
Iram kay taayer-e-rang-e-pareedah ki nishani hay

ذِیابٌ فی ثِیابٍ Lab pe kalma dil man gustaakhi
Salaam assalam mulhid ko ke tasleem zabaani hay

Ye aksar saath un kay shaanah-o-miswaak ka rahna
Batata hay ke dil raishoon pe zayed mehrbaani hay

Isi sarkaar say dunya-o-deen miltay hain sayel ko
Yehi darbaar-e-aali kanz aamaal-o-amaani hay

Dar-o-deen soorat-e-hala-e-muheet-e-maah-e-Tayyibah hain
Barista ummat-e-aasi pea b rahmat ka paani hay

Taala Allah istigna teray dark ay gadaaoun ka
Ke un ka aar far-o-shokat-e-sahib qiraani hay

Wo sar garam-e-shafaat hain arq afshaan say paishaani
Karam ka atar sandal ki zameen Rahmat ki ghaani hay

Ye sar ho aur wo khaak-e-dar wo khaak-e-dar ho aur ye sar
Raza wo bhi agar chahain to ab dil man ye thaani hay