Nimaaz-e-Aqsa man tha yehi sirr Ayan hoon

Nimaaz-e-Aqsa man tha yehi sirr Ayan hoon mana awal Aakhir
Ke dast basta hain pechay Hazir jo saltnat Agay kar gay thay
Ye un ki Amad ka dabdaba tha nikhar har shay ka ho raha tha
Nujoom-o-Aflaak jaam-o-mena ujaltay thay khangaltay thay
Niqab ultay wo mehr-e-anwar jalal-e-Rukhsar garmiyoon par
Falak ko haibat say tap charhi thi tapktay anjum kay Ablay thay
Ye jo shish Noor ka asar tha ke Aab-e-gohar kamar kamar tha
Safaye rah say phisal phisal kar sataray qadmoon pe lotatay thay
Barha ye lehra kay bahar-e-wahdat ke dhul gaya Naam-e-raig-e-kasrat
Falak kay teeloon ki kia Haqeeqat ye ar’sh-o-kursi do bulbulay thay
Wo Zill-e-Rahmat wo Rukh kay jalway ke taray chuptay na khilnay patay
Sunahri zarbafat audi atlas ye than sab dhoop chaon kay thay
Chala wo sar wichan khiraman na ruk saka sidrah say bhi daman
Qaseeda-e-me’raj part/6