Rasool-e-Muazam Salamun Alaikum

Rasool-e-Muazam Salamun Alaikum
Nabi-e-Mukaram salamun Alaikum

Sana teri karta hay quran kay andar
Khuda-e-do aalam, Salamun Alaikum

Teri yad man ayesi sa’at bhi Aaye
Meri aankh ho nam salamun Alaikum

Ye Rabb ki ata hay, ye Rab ka karam hay
Sana khawan teray ham salamun alaikum

Hamain hay bharwasa shafat pe teri
Mita hashar ka Gam salamun alaikum

Qiyamat kay din saari makhlooq hogi
Teray zayer-e-parcham salamun alaikum

Ye daikha hay aksar huwa dard-e-furqat
Teray Zik’r say kam salamun alaikum

Laboon par rahay is Riaz-e-Hazeen kay
Tera Zik’r har dam Salamun alaikum