Rukh din hay ya mahar samaa ye bhi nahi wo bhi nahi

Rukh din hay ya mahar samaa ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushk khata ye bhi nahi wo bhi nahi

Mumkin man ye qudrat kahaan wajib man abdiat kahan
Hairaan hoon ye bhi hay khata ye bhi nahi wo bhi nahi

Haq ye ke hain abd-e-ilaah aur aalam-e-imkaan kay shah
Barzakh hain wo sarr-e-Khuda ye bhi nahi wo bhi nahi

Bulbul nay gul un ko kaha Qamri nay sard-e-jaanfiza
Hairat nay jhanjhla kar kaha ye bhi nahi wo bhi nahi

Khurseed tha kis zor par kia barh kay chamka tha qamar
Bay pardah jab wo rukh huwa ye bhi nahi wo bhi nahi

Dar tha ke esyaan ki saza ab hogi ya roz-e-jaza
Di un ki Rahmat ne Sada ye bhi nahi wo bhi nahi

Koi hay naazan zuhud par ya husun-e-tobah hay sipar
Yan hay faqat teri ata ye bhi nahi wo bhi nahi

Din lahoo man khona tujhay shab subuh tak sona tujhay
Sharm-e-Nabi khof-e-Khuda ye bhi nahi wo bhi nahi

Rizq-e-Khdua khaya kia farmaan-e-Haq tala kia
Shukur-e-karam tars-e-saza ye bhi nahi wo bhi nahi

Hay bulbul-e-rangeen raza ya tooti nagma sara
Haq ye k wasif hay tera ye bhi nahi wo bhi nahi