Shah-e-konain jalwa numa ho

Shah-e-konain jalwa numa ho gaya Rang Aalam ka bailkul naya ho gaya
Muntakhab Aap ki zat-e-wila hoi Naam-e-pak Aap ka Wadhuha ho gaya
Aeysa aizaz kis ko Khuda nay dia jeysa baala tera martaba haoga
Ayesi nafiz tumhari Hukoomat hoi tum nay jis waqat jo kuch kaha ho gaya
Naaz kar aye Jameel apni qismat pe too Khak-e-Nalain Ahmad Raza ho gaya
50
Subuh Tayyibah man hoi batata hay bara nor ka
Sadqa lanay Noor ka Aaya hay Tara Noor ka
Baag-e-Tayyibah man suhana phool phoola Noor ka
Mast hoin bulbulain prhtey hoin Kalima Noor ka
Barhween kay chand ka mujra hay Sajda Noor ka
Barah burjoon say jhuka ik ik Sitara Noor ka
Teri hi mathay raha aye jan sehra Noor ka
Bakhat jaga Noor ka chamka Sitara Noor ka
Sur mageen Aankhain Hareem Haq kay wo mashkeen Gazaal
Hay fiza-e-la makan tak jin kaar-e-Minna Noor ka
Taab-e-Husun karam say khul jayen gay dil kay kanwal
To baharin layengey garmi ka jhalka Noor ka
Chand jhuk jata jidhar ungli uthatay mahd man
Kia hi chalta tha isharoon par khilona Noor ka
“Kaf” gaisoo “haa” dahan “yaa” abroo aur Aankhain “a’eyan, Saad”
Kaf haa yaa aeen Saad un ka hay chehra Noor ka
Aye Raza ye Ahmad-e-Noori ka faiz Noor hay
Ho gaye meri Gazal barh kar Qaseedah Noor ka


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46