Shukur-e-Khuda ke aaj gharhi us safar ki hay

Shukur-e-Khuda ke aaj gharhi us safar ki hay
Jis par Nisaar jaan falaah-o-zafar ki hay

Garmi hay tap hay dard hay kulfat safar ki hay
Na shukria too daikh azeemat kidhar ki hay

Kis khaak-e-paak ki to bani khaak-e-pa shifa
Tujh ko qasam janaab-e-maseeha kay sar ki hay

Aab-e-hayaat-e-rooh hay zurqa ki boond boond
Akseer azam mas-e-dil khaak dur ki hay

Ham ko to apnay saaye man araam hi say laye
Heelay bahaanay waloon ko ye raah dar ki hay

Lutatay hain maaray jaatay hain yoon hi suna kiye
Har baar di wo aman ke gairat hazar ki hay

Wo daikho jagmagaati hay shab aur qamar abhi
Paharoon nahi ke bast-o-chaharam safar ki hay

Maah-e-Madeenah apni tajalli ata karay!
Ye dhalti chandni to pahar do pahar ki hay

مَنْ زَارَ تُرْبَتِیْ وَجَبَتْ لَہ شَفَاعَتِی ْ
Un par Durood nin say naveed in bushar ki hay

Us kay tufail haj bhi khuda nay kara diye
Asl-e-muraad haaziri is paak dar ki hay

Kaabah ka naam tak na lia Tayyibah hi kaha
Poocha tha ham say jis nay ke nahidhtu kidhar ki hay

Kaabah bhi hay unehain ki tajalli ka ayek zill-e-
Roshan unehain kay akas say patli hajar ki hay

Hotay kahaan khaleel-o-bina kaabah-o-mina
Lolak waalay saahibi sab teray ghar ki hay

Mola Ali ne waari teri neend par Nimaaz
Aur wo bhi asar sab say aala khatar ki hay

Siddique balkeh gaar man jaan us pe day chukay
Aur hif’z-e-jaan to jaan furooz-e-garar ki hay

Han tu ne un ko jaan unhein phair di Nimaaz
Pardah to kar chukay thay jo karni bashar ki hay

Saabit huwa ke jumlah farayez-e-furoo’a hain
Asl-ul-usool bandage us taajwar ki hay

Shar khair shor soor sharar door naar Noor!
Bushra ke baargaah ye khairul bashar ki hay

Mujrim bulaye aaye hain jaaouk hay gawaah
Phir rad ho kab ye shaan kareemoon kay dar ki hay

Bad hain magar unhain kay han baagi nahi hain ham
Najdi na aaye us ko ye manzil khatar ki hay

Tuf najdiat na kufur na islaam sab pe haraf
Kaafir idhar ki hay na udhar ki idhar ki hay

Hakim hakeem daad-o-dawa dain ye kuch na dain
Mardood ye muraad kis aayat khabar ki hay

Shakl-e-bashar man Noor-e-Ilahi agar na ho!
Kia qadar us khameera-e-ma-o-madar ki hay

Noor-e-illah kia hay Muhabbat Habeeb ki
Jis dil man ye na ho wo jaga khook-o-khar ki hay

Zki’r-e-Khuda jo un say juda chaho najdio!
Wallah zikr-e-Haq nahi kunji saqar ki hay

Bay un kay waasitah kay Khuda kuch ata karay
Hasha galat galat ye hawas bay basar ki hay

Maqsood ye hain Adam-o-Nooh-o-Khaleel say
Tukhum-e-karam man saari karaamat samar ki hay

Un ki Nabuwwat un ki ubuwwat hay sab ko aam
Umm-ul Bashar uroos unhain kay pisar ki hay

Zaahir man meray phool haqeeqat man meray nakhal
Us gul ki yaad man ye sada bul bashar ki hay

Pehlay ho un ki yaad ke paaye jila Nimaaz
Ye kehti hay azaan jo pichlay pahar ki hay

Dunya mazaar hashar jahaan hain Gafoor hain
Har manzil apnay chaand ki manzil gafar ki hay

Un par Durood jin ko hajar tak karain salaam
Un par salaam jin ko tahiyyat shajar ki hay

Un par Durood jin ko kas-e-bay kasaan kahain
Un par salaam jin ko khabar bay khabar ki hay

Jinn-o-bashar salaam ko haazir hain Asslaam
Ye bargaah maalik-e-jin-o-bashar ki hay

Shams-o-qamar salaam ko haazir hain asslaam
Khoobi unehin ki jot say shams-o-qamar ki hay

Sab baha-o-bar salaam ko haazir hain asslaam
Tamleek unhein kay naam to har bahar-o-bar ki hay

Sang-o-shajar salaam ko haazir hain asslaan
Kalmay say tar zubaan darkhat-o-hajar ki hay

Ar’z-o-asar salaam ko haazir hain asslaam
Malja ye baargaah dua-o-asar ki hay

Shoreedah sar salaam ko haazir hain asslaam
Raahat unehain kay qadmoon man shoreedah sar ki hay

Khasta jigar salaam ko haazir hain asslaam
Marham yahen ki khaak tu khasta jigar ki hay

Sab khushuk-o-tar salaam ko haazir hain asslaam
Ye jalwah gaah maalik har khushuk-o-tar ki hay

Sab karo far salaam ko haazir hain asslaam
Topi yahin to khaak pe har karr-o-far ki hay

Ahl-e-nazar salaam ko haazir hain asslaam
Ye gird hi to surmah sab ahl-e-nazar ki hay

Aansoo baha ke ba gay kaalay gunah kay dhair
Haathi dobaou jheel yahaan chasham tar ki hay

Teri qaza khaleefa-e-ahkaam-e-ze-al-jalal
Teri Raza haleef qaza-o-qadar ki hay

Ye piyaari piyaari kiyaari teray khana baag ki
Sard us ki aab-o-taab say aatash-e-saqar ki hay

Jannat man aa kay naar man jata nahi koi
Shukur-e-Khuda Naweed najaat-o-zafar ki hay

Momin hoon mominoon pe Rauf Raheem ho
Sayel hoon sayeloon ki khushi la nahar ki hay

Daaman ka wasitah mujhay us dhoop say bacha
Mujh ko to shaaq jarhoon man is do pahar ki hay

Maan donoon bhai batay bhateejay azeez dost
Sab tujh ko sonpne milk hi sab teray ghar ki hay

Jin jin muraadoon kay liye ahbaab nay kaha
Paish khabeer kia hay mujhay haajat khabar ki hay

Fazal-e-Khuda say gaib-e-shahaadat huwa unehain
Us par shahaadat aayat-o-wahi-o-asar ki hay

Kehna na kehnay waalay thay jab say to itlaa’e
Mola ko qaul-o-qayel-o-har khushuk-o-tar ki hay

Un par kitaab utari بَیَا نًا لِّکلِّ شَیءٍ
Tafseel jis man ma abar-o-maa gabar ki hay

Aagay rahi ata wo baqadar talab to kia
Aadat yahaan umeed say bhi baishtar ki hay

Bay maangay dainay waalay ki nemat man garq han
Maangay say jo milay kisay faham us qadar ki hay

Ahbaab us say barh kay to shayad na payen arz
Na kar wo ar’z ar’z ye tarz-e-digar ki hay

Dandaan ka naat khuwaan hoon payaab hogi aab
Nadi galay galay meray aab-e-ghuhar ki hay

Dasht-e-haram man rahnay day sayyad agar tujhay
Mitti aziz bulbul-e-bay baal-o-par ki hay

Ya Rabb na Ahmad pareenah ho kay jaye
Ye bargaah teray Habeeb-e-abar ki hay

Taufeeq day ke aagay na paida ho khoye bad
Tabdeel kar jo khaslat-e-bad paishtar ki hay

Aa kuch suna day ishq kay boloon man aye Raza
Mushtaaq taba’e Lazzat-e-soz-e-jigar ki hay