Teri Tareef kesay karoon man

Teri Tareef kesay karoon man bayan meri Taqat hay kia man to kuch bhi nahi
Mehr-o-Zarray man Nisbat to hoti hay kuch mujh ko Nisbat hay kia man to kuch bhi nahi
Meri waham-o-Guman say bhi bahir hay to man to Qatra nahi aur Bay kinar samandar hay to
Tera soda huwa mujh ko ye hasti kahan dil ki wusat hay kia man to kuch bhi nahi
Too samnay jo mujh man Tera kam he meri hasti he kuch to Tera Naam hay
Teri Rahmat me Rutbah ye bakhsh mujhe meri jurat he kia man to kuch bhi nahi
Tera Daman jo Pakrha to man shah huwa mera is kay siwa aur matlab hay kia
Teray dar ka gada hoon to hoon shah man warna qismat hay kia man to kuch bhi nahi
Tera dar chorh kar man kahan jaon ga jo yahan khown ga to kahan paon ga
Too khazanoon ka malik hay deday shaha ab kifayat hay kia man to kuch bhi nahi
Mera waris hay too mera malik hay too mera Aaqa hay too mera data hay too
Teri hone say jeena hay jeena mera meri himmat hay kia man to kuch bhi nahi
Jis ne dekha mujhay kiyoon na Hairan hoon man jo pihla sa hoon meri pechan ho
Teri Aayena sazi ki hay ye jila warna Hairat hay kia man to kuch bhi nahi