Tum ho shareek-e-Gam to mujhay

Tum ho shareek-e-Gam to mujhay koi Gam nahi
Dunya bhi mairay wastay jannat say kam nahi

Chaha hay tujh ko tujh pe lutai hay zindagi
Tairay elawah kuch mera deen-o-dharam nahi

Wo bad Naseeb Rahat-e-Hasti na pa saka
Jis par meray Habeeb ki chashm-e-karam nahi

Manzil mujhay milay na milay us ka kia gila
Wo meray saath saath han ye bhi to kam nahi

Sajdah usi ka naam hay jab tum ho samnay
Ayesi Nimaz kia jo barooye Sanam nahi

Us raastay pe sar ko jhukana Haram hay
Jis rastay pe Aap ka naqsh-e-qadam nahi

Aye Aanay walay apni jabeen ko jhuka kay Aa
Ye Aastan-e-yar hay koi Haram nahi

Ahl-e-junoon ka is liye mashrab juda raha
Waqif Niaz-e-ishq say sheikh-e-Haram nahi