Us Husaiyn Ibne Haddar

Us Husaiyn Ibne Haddar pei lakhoun salam
Kar liya nosh jis ne shahdat ka jaam
Jis ko Dhoke se Koufe bulaya gaya
Jis ke bachoon ko Piyasa rulaya gaya
Khanjar zulm jis par chalaya gaya
Us ki kamil shahadat pa lakhoun salam
Jis ne haq Karbala ka aada kar diya
Jis ne Nana ka wa’ada wafa kar diya
Jis ne kumba-e-kumba fida kar diya
Baadshah-e-sakhawat pe lakhoon salam
Jis ko ummat ka gham hi satata raha
Ashq gharoun mein jo bhi bahata raha
Jo muqaddar hamare banata raha
Us ki sab Aal-o-Ishrat pe lakhoon salam
Jis ke shohar par khanjar chalaya gaya
Jis ke bethe ko khoon mein nehlaya gaya
Jis ki beti ko qaidi banaya gaya
Us khatoon-e-qayamat pe lakhoon salam
Samne jis ke Akbar zibaah ho gaye
Goad meyn jis ke Asghar tarapte rahe
Jis ko ummat ne teeroon ka tohfa diya
Us shaheed-e-Mohabbat pe lakhoon salam
Zer-e-khanjar bhi haq baat jis ne kahi
Chot par chot seene pe jis ne sahi
Jis ki Sugra Madeenah men roti rahi
Us ki Saaleb shahadat pe lakhoon salam
Wo qaraar-e-dil Sarwar-e-anbiya
Jaan-e-a’alam jigar ghosha-e-murtadhaa
walida jin ki hey Sayyidah Tahirah
Us nasab ki sharafat pe lakhoun salam