Abhi na Aatay thay pushat-e-zeen tak ke sar huwi

Abhi na Aatay thay pushat-e-zeen tak ke sar huwi magfirat ki shallak
Sada shafa’at nay di Mubarak gunaha mastana jhoomtay thay
Ajab na tha rakhsh ka chamkna gazal-e-dam khoordah sa bharhkna
Shua’en bukay urha rahi thein tarhptay Aankhoon pe Sayeqay thay
Hujoom-e-Umeed hay ghatao muradain day kar inhain hatao
Adab ki bagein liye barhao malaika man ye galglay thay
Uthi jo gird-e-rah-e-Munawwar wo Noor barsa ke rastay bhar
Ghiray thay badal bharay thay jal thal umand kay jangal ubal rahay thay
Sitam kia kesi mat kati thi qamar wo khaak un kay rah guzar ki
Uthana laya ke maltay maltay ye daag sab daikhna mitay thay
Buraaq kay naqsh-e-sum kay sadqay wo gul khilaye ke saaray rastay
Mehktay gulbun kay mahketay gulshan haray bharay lahlaha rahay thay