Andhairi raat hay gam ki ghata isyaan ki kaali hay

Andhairi raat hay gam ki ghata isyaan ki kaali hay
Dil bay kas ka is aafat man aaqa tu hi waali hay

Na ho mayoos aati hay sada gor-e-gareeban say
Nabi ummat ka haami hay Khuda bandoon ka waali hay

Utartay chaand dhalti chandni jo ho sakay kar lay
Andhaira paakh aata hay ye do din ki ujaali hay

Aray ye bhairhiyoon ka ban hay aur sham aagaye sar par
Kahan soya musaafir haye kitna la ubaali hay

Andhaira ghar akaili jaan dam gutata dil uktata
Khuda ko yaad kar piyaray wo saat aanay wali hay

Zameen tapti kataili raah bhari bojh ghayel paoun
Museebat jhailnay waalay tera Allah waali hay

Na chonka din hay dhalnay par teri manzil hoi khoti
Aray ao jaanay walay nend ye kab ki nikaali hay

Raza manzil to jesi hay wo ik man kia sabhi ko hay
Tum us ko rotay ho ye to kaho yaan haath kahli hay