Aye deen-e-Haq kay rahbar tum par salam

Aye deen-e-Haq kay rahbar tum par salam har dam
Meray shafee’a mahshar tum par salam har dam

Bandah tumharay dar ka Aafat man mubtala hay
Raham aye Habeeb-e-Dawar Tum salam har dam

Daryozah gar hoon man bhi adna sa is gali ka
Lutuf-o-karam ho mujh par Tum par salam har dam

Koi nahi hay mera man kis say dad chahoon
Sultan bandah parwar Tum par salam har dam

Muhtaj say Tumharay kartay han sab kinarah
Bas ik Tum hi ho yawar Tum par Salam har dam

Koi nahi hamara ham kis kay dar pe jayen
Aye bay kasoon kay yawar tum par Salam har dam

Apne gada-e-Dar ki lijiye khabar khudara
Kejiye karam Hassan par Tum par salam har dam