Charagan charagan

Charagan charagan piyam-e-MUHAMMD
Buhat mustanad hay Kalam-e-MUHAMMD
Ameer wa gada main nahi faraq koi
Zamanay main yaksan Nizam-e-MUHAMMD
Adalat , shujaat, Sakhawat, wafa main
Shenshah-e-Doran Gulam-e-MUHAMMD
Azal say lutata huwa phool gunchay
Abad tak hay gardash main jam-e-MUHAMMD
Shafee’e Umam bhi , wo Khatam ul Rusul bhi
Buhat Arfa aala maqam-e-MUHAMMD
Madeena bhi hay mustaqqar un ka akhtar
Makan la makan bhi qiyam -e-MUHAMMD