Do jahan kay wali ka do

Do jahan kay wali ka do jahan pay saya hay
Un ko to khuda nay un ki marzi say banaya hay
Noori noori Talway kesay piyaray jalway hain
Chand un kay jalwoon ki bheek lainay Aaya hay
Wadhuha ka chehra hay Taha ka sehra hay
Un kay muskranay say zamana jagmagaya hay
Nabiyoon nay salami di walioon nay gulami ki
Sar pe un kay khaliq nay taaj wo sajaya hay
Toor par kaha Rabb nay lan Tarani Moosa ko
Par Madeenay waalay ko a’rsh par bulaya hay
Barkatoon kay railay hain nor yoon kay mailay han
Haleemah teri Kuttia main ye koan Muskraya hay
Mouj main jab Aatay han taaj war banatay han
Sab pe hay karam Nasir Apna ya Paraya hay