Eik bar madinay man

Eik bar madinay man ho jaye mera jana
Phir aur na kuch mangay sarkar ka deewana
Pal pal mera dil Tarhpay din raat karay Zaari
Kab aaoun Madeenay main? Kab Aaye meri baari?
Kab ja ke main daikhoon ga darbar wo Shahana
Is Aas pe jeeta hoon ik roaz bulayengay
Aur Gumbad-e-Khazra ka deedar karaigay
Phir paish karoon ga main ashkoon bhara nazrana
Bay chain nigahoon ko deedar ata kar do
Daman mira khushion se ya shah-e-Umam bhar do
Aabad Khuda Rakhay Aaqa Tera maikhana
Itne se Tammana hay ho jaye ye Manzoori
Bin deed kiye shaha mar jaye na deewana