Hirz-e-jaan zikr-e-shafaat kijeye

Hirz-e-jaan zikr-e-shafaat kijeye naar say bachnay ki soorat kejiye
Un kay naqsh-e-pa pe gairat kejiye aankh say chup kar ziarat kejiye
Un kay husun-e-ba malaahat par nisaar shaira-e-jaan ki halaawat kejiye
Un kay dar pr jaisay ho mit jaye na tawano! Kuch to himmat kejiye
Phair dejiye panj-e-daiv-e-laeen Mustafa kay bal taaqat kejiye
Doob kar yaad-e-lab-e-shaadab man Aab-e-kausar ki sabaahat kejiye
Yaad-e-qaamat kartay uthiye qabar say jaan-e-mahshar par qiamat kejiye
Un kay dar par baithay ban faqeer bay nawao fikir-e-sarwat kejiye
Jis ka husun Allah ko bha gaya ayesay piyaray say Muhabbat kejiye
Hayyun baki jis ki karta hay sana martay dam tak us ki madhat kejiye
Ar’sh par jis ki kamanain charh gayen sadqay us baazoo pe quwwat kejiye
Neem wa Tayyibah kay phooloon pr ho aankh bulbulo! Paas nazakat kejiye
Sar say girta hay abhi baar-e-gunaah kham zara farq-e-iraadat kejiye
Aankh to uthti nahi kia dain jawaab ham pe bay pursash hi rahmat kejiye
Uzur bad tar az gunah ka zikir kia bay sabab ham par inaayat kejiye
Naarah kejiye Ya Rasool ul Allah ka mufliso! Samaan-e-daulat kejiye
Ham tumharay ho kay kis kay paas jayen Sadqa shahzadoon ka Rahmat kejiye
مَن ْ رَاٰنِیْ قَد ْ رَأ ی الحق jo kahay kia bayaan us ki haqeeqat kejiye
Aalim ilam-e-do aalam hain huzoor aap say kia arz haajat kejiye
Aap sultaan-e-jahan ham bay nawa yaad ko waqat-e-nemat kejiye
Tujh say kia kia aye meray Tayyibah kay chaand zulmat-e-gam ki shikaayat kejiye
Dar badar kab tak phirain khasta kharaab Tayyibah man madfan inaayat kejiye
Har bars wo qafiloon ki dhoom dhaam aah seenay aur gaflat kejiye
Phir palat kar munh na us jaanib kia sach hay aur daywa-e-ulfat kejiye
Aqriba hub-e-watan bay himati aah kis kis ki shikayat kejiye
Ab tu Aaqa munh dikhanay ka nahi kis tarah rafa-e-nadaamat kejiye
Apnay haathoon Khud luta baithay hain ghar kis pe dawa-e-bidhaat kejiye
Kis say kahiye kia kia kia hogia khud hi apnay par malamat kejiye
Arz ka bhi ab to munh partha nahi kia ilaaj-e-dard-e-farqat kejiye
Apni ayek methi nazar kay shahid say charah-e-zahar-e-museebat kejiye
Day khuda himmat ke ye jaan hazeen aap par waarain wo soorat kejiye
Aap ham say barh kay ham par mehrbaan ham karain juram aap Rahmat kejiye
Jo na bhoola ham gareeboon ko raza
Yaad us ki apni aadat kejiye