Bashar kia likhay ga maqam-e-Muhammad

Bashar kia likhay ga maqam-e-Muhammad
Khud apna qaseedah hay Naam-e-Muhammad

Bhalay sab Khuda kay, buray sab hamaray
Hadees-e-Muhammad, Kalaam-e-Muhammad

Shameem-e-Muattar, Naseem-e-muanbar
Huwa jis taraf bhi kharaam-e-Muhammad

Shuayen karam ki, ghata Rahmatoon ki
Wo Subuh-e-Muhammad, ye sham-e-Muhammad

Har ik kaasa labraiz, har fasla tay
Ze dast-e-Muhammad ze gaam-e-Muhammad

Ye kaabah hay kia? Tarbiat gah-e-ulfat
Sikhata hay jo ihtiraam-e-Muhammad

Banaya Muhammad ko khaliq nay, Aaqa
Bani saari khalqat Gulaam-e-Muhammad

Yad-e-Mustafa man Sunatay thay kinkar
Piyaam-e-Muhammad salaam-e-Muhammad

Naseema! Teray din bhi kesay phiray jab
Khulay gaisoo-e- mushak-e-faam-e-Muhammad

Adeeb ab koi khof dil man nahi hay
Wahan par to likha hay, Naam-e-Muhammad