Kia mehktay hain mehknay waalay boo pe chaltay hain bhatknay waalay

Kia mehktay hain mehknay waalay boo pe chaltay hain bhatknay waalay
Jagmaga uthi meri gor ki khaak teray qurbaan chamknay waalay
Mah-e-bay daag kay sadqay jaaoun yoon damktay hain damktay waalay
Ar’sh tak phailey hay taab-e-aariz kia jhalktay hain jhalknay waalay
Gul tayyibah ki sana gaatay hain nakhl-e-tooba pe chehknay waalay
Aasiya! Thaam lo daman un ka wo nahi haath jhatknay waalay
Abr-e-Rahmat kay salaami rahna phailtay hain poday lachkanay waaly
Aray ye jalwah gah-e-janaan hay kuch adab bhi hay phrhknay waalay
Seeno! Un say madad maangay jaaou parhay baktay rahain baknay waalay
Shama-e-yaad-e-rukh-e-janaan na bujhay khaak ho jayen bharhknay waalay
Mot kehti hay ke jalwah hay qareeb ik zara so lain balaknay waalay
Koi un taiz rawoon say keh do kis kay ho kar rahain thaknay waalay
Dil sulagta hi bhal hay aye zabt bujh bhi jaatay hain dahknay waalay
Ham bhi kamhlaanay say gafil thay kabhi kesa hansa gunchay chatknay waalay
Nakhal say chat kay ye kia haal huwa Aah ao pattay kharhknay waalay
Jab giray munh soye maikhaana tha hosh man hain ye behknay waalay
Daikh aur zakham-e-dil aapay ko sanbhaal photo bahtay hain tapaknay waalay
May kahan aur kahan man zahid yoon bhi to chaktay hain chaknay waalay
Kaf-e-darya-e-karam man hain Raza
Paunch fawaaray chaliknay waalay