Man guzrta hi giya raah thi purnam purnam

Man guzrta hi giya raah thi purnam purnam
Mujh pe sarkar ki nazrain jo then paiham paiham

Un kay darbar man puhuncho k yahan say mango
Shart itni hay ke ye Aankh ho purnam purnam

Aap aaye to parhi jaan man thandak warna
Zindagi zakham thi’ Awaz thi marham marham

Paish kar doon ga sar-e-hashar kamaye apni
Daulat-e-Naat jama’e ki hay jo dirham dirham

Ar’sh ho far’sh ho mahshar ho, zaman ho ke makan
Har jaga un kay hi lihraatay hain parcham parcham

Mahroomah’ kahkshan’ naqsh-e-kaf-e-paye Rasool
Gaisoo-e-shab hay usi Noor say barham barham

Un ki Rahmat ki to har boond samandar hay Adeeb
Jis kay Aagay ye samandar bhi hay shabnam shabnam


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46