Muhammad mazhar Kaamil hay Haq ki shaan Izzat ka

Muhammad mazhar Kaamil hay Haq ki shaan Izzat ka
Nazar aata hay is kasrat man kuch andaaz-e-wahdat ka

Yehi hay asal aalam Maddah ejaad khalqat ka
Yahan wahdat man barpa hay ajab hangama kasrat ka

Gada bhi muntazir hay khuld man naikoon ki dawat ka
Khuda din khair say laye sakhi kay ghar Ziafat ka

Gunah magfoor, dil roshan, khanak aankhain, jigar thanda
Taala Allah Maah-e-Tayyebah aalam teri talat ka

Na rakhi gul kay josh-e-hassan nay gulshan man ja baqi
Chitakta phir kahan guncha koi baag-e-Risaalat ka

Barha ye silsial-e-rahmat ka dor-e-zulf-e-wala man
Tasalsul kalay kosoon rah gaya isyaan ki zulmat ka

Saf-e-maatam uthay khali ho zindan totain zanjeerain
Gunahgaro! Chalo mola nay dar khola hay jannat ka

Sikhaya hay ye kis gustakh nay aayenah ko ya Rabb
Nizarah roo-e-janan ka bahana kar kay hairat ka

Idhar ummat ki hsarat par udhar khaliq ki rahmat par
Nirala Toor hoga gardash-e-chasham shafaat ka

Barhaian is darja mojain kasrat-e-afzaal wala ki
Kinarah mil gaya is nahar say darya-e-wahdat ka

Zakham-e-zulf-e-Nabi Sajid hay mehrab-e-do abaroo man
Ke Ya Rabb too hi wali hay saye karan-e-ummat ka

Madad aye joshish girya baha day koh aur sahra
Nazar aajaye jalwa bay hijaab us paak turbat ko

Huway kam khawabi hijran man satoon parday kamkhawabi
Tasawwur khoob bandha aankhoon nay astaar turbat ka

Yaqeen hay waqat jalwa lagzashain paye naga paye
Milay josh-e-safaye jisim say pa bos hazrat ka

Yahan chirhka namak wan marham-e-kafoor haath aaya
Dil-e-zakhmi namak parwar dah hay kis ki malahat ka

Ilahi muntazir hoon wo kharaam naz farmayen
Bicha rakha hay farsh aankhoon nay kamkhawab-e-basaarat ka
Na ho Aaqa ko sajdah Aadam-o-Yousuf ko sajdah ho
Magar Sayed-e-zaraye daab hay apni shareeyat ka

Zuban khar kis kis dard say un ko sunati hay
Tarhpna dahst-e-Tayyebah man jigar afkaar ffarqat ka

Sirhanay un kay bismal kay ye baitabi ka maatam hay
Shah-e-kausar Tarahham tashna jaata hay ziyarat ka

Jinhain marqad man ta hashar ummati keh kar pukaaro gay
Hamian bhi yaad kar lo un man Sadqa apni Rahmat ka

Wo chamken bijliyan ya rabb tajallehaye janaan say
Ke chasham-e-Toor ka surmah ho dil mushtaq ruyat ka

Razaye khasta josh-e-bahar-e-isyan say na ghabrana
Kabhi to haath aajaye ga daman un ki rahmat ka