Mujh man un ki Sana ka Saleeqa

Mujh man un ki Sana ka Saleeqa kahan
Wo Shah-e-do jahan wo kahan man kahan
Un ka madah sara khaliq en wa aan
Wo rasool-e-Zaman wo kahan man kahan
Un kay daman wabista meri nijaat
Un pe qurban meri Hayaat w mamat
Man gunahgar wa shafi-e-Aasiyan
Bay kasoon ki aman wo kahan man kahan
Wo Madeenah Nageenah hay jo ar’sh ka
Wo Madeenah jahan Rahmat bay karan
Man bhi puhunchon wahan wo kahan man kahan
Ham sarapa adam wo sarpa wujood
Un pe har dam salam un pe hra dam durood
Ham Haqeeqat man afsana wo dastan
Un ka mada Khawan wo kahan man kahan
Shak nahin aye Riaz us man hargiz Zarra
Man sarapa khata wo sarapa ata
Naam un ka rahay kioon na wird-e-Zaban
Hay jo taskeen-e-jan wo kahan man kahan