Na Asman ko yoon sar kasheedah hona taha Huzoor-e-khaak Madeenah khameedah hona tha

Na Asman ko yoon sar kasheedah hona taha Huzoor-e-khaak Madeenah khameedah hona tha
Agar guloon ko khizaan na raseedah hona tha kinaar-e-khaar-e-Madeenah damaidah hona tha

Huzoor un kay khilaaf adab thi baitabi meri umeed tujhay aarmaidah hona tha
Nazarah khaak-e-Madeenah rahtain miltin dil-e-hzeen tujhay ashk chakeedah hona hona tha

Panah daman-e-dashat-e-Haram man chain aata na sabar-e-dil ko gazal-e-rameedah hona taha
Ye kesi khulta ke un kay siwa shafee’a nahi abas na auroon kay aagay tapeedah hona tha

Hilal kesay nab anta maah-e-kaamil ko salaam-e-abroo-e-shah man khamaidah hona tha
لَاََ مْلئَن َّ جہَنَّم tha wada azali na munkiroon ka abas bad aqeedah hona tha

Naseem kiyoon na shameem un ki tayyibah say lati ke subuh gul ko giraban daraidah hona tha
Tapakta rang-e-junoon ishiq-e-shah man har gul say rag-e-bahar ko nashtar raseedah hona tha

Baja tha arsh pe khaak-e-mazar-e-pak ko naaz ke tujh sa arsh nasheen aafredah hona tha
Guzartay jaan say ik shor “Ya Habeeb kay’’ saath Fagan ko naala-e-halaq bareedah hona tha

Miray kareem guna zaharay magar aakhir koi to shaheed-e-shafat chasheedah hona tha
Jo sang-e-dar pe jabeen sayioon man tha mitna to meri jaan sharrar-e-jaheedah hona tha

Teri quba kay na kiyoon nechay nechay daaman hoon ke khaksaaroon say yaan kab kasheedah hona tha
Raza jo dil ko banan tha jalwa gaah-e-Habeeb
To piyaray qaid-e-Khudi say raheedah hona tha