sanaye Ahmad-e-Mursal man jo sukhun likhoon

sanaye Ahmad-e-Mursal man jo sukhun likhoon
Usi ko Nudrat-e-fik’r-o-Kamaal fan-e-likhoon

Wo lafz jis ka ho mafhoom shan-e-Khatam-e-Rusul
Man is ko chashm-e-Seemab ki kirn likhoon

Wo justujoo jo rahay fik’r-e-naat man har dam
Man us ko rafraf-e-Aflaak fik’r-o-fan likhoon

Wo Rooh man jo mahkta hay Raat din ik Naam
Usay Gulab likhoon ya ke shab dulhan likhoon

Unhi kay naam ko likhoon Hayat-e-no ka Piyaam
Hayaat-e-no kay jo mazmoon ka matan likhoon
Fiza man rang bikhar jayen jis Tasawwar say
Man is khiyal ko fitrat ka bankpan likhoon

Saba jo kakal-e-mushkeen ka lams paa kay chalay
Man us saba ko ram-e-Aa huway khatan likhoon

Wo gird-e-kocha-e-batha, rumooz ka jaama
Usay shaheed-e-Mahabbat ka man kafan likhoon

Hazar jaan-e-girami Nisar-e-Lazzat-e-Gam
Jo un ki Yaad ki dil man koi chubhan likhoon

Wo Noor jis ka ujalaa Muheet-e-kaun-o-makaan
Man kiyoon na us ko Muhammad ka perhan likhoon

Wo eik Naam jo tashbeeh ka nahi Muhtaj
Man us ki sharah man kia? Rabb-e-Zul Minan likhoon

Hay joye sheer agar Naat-e-Mustafa likhna
To phir Adeeb tujhay kiyoon na kohkun likhoon