Taab maraat-e-sahar gird bayaban-e-arab

Taab maraat-e-sahar gird bayaban-e-arab
Gaza-e-roo-e-qamar dood-e-charagan-e-arab

Allah Allah bahar-e-chamanistan-e-arab
Pak hain loth-e-khizaan say gul-o-raihan-e-arab

Jo shish abar say khoon-e-gul-e-firdos karay
Chairh day rag ko agar khar bayaban-e-arab

Tshnah nahar-e-jinan har arabi-o-ajami!
Lab har nahar jinan tashna-e-neesan-e-arab

Tauq-e-gam Aap ho aye par-e-qamri say giray
Agar aazad karay sarw-e-kharaman arab

Mahar meezan man chupa ho to hamal man chamkay
Dalay ik boond shab day man jo baran-e-arab

Ar’sh say mjdah-e-balqees-e-shafat laya
Tayer-e-sidrah nasheen murg-e-sulaiman-e-arab

Husun-e-yousuf pe kateen mis’r man angushat-e-zanan
Sar katatay hain teray Naam pe mardan-e-arab

Koocha koocha man mehkte hay yahan boo-e-qamees
Yousufistaan hay har ik gosha-e-kinaan-e-arab

Bazam-e-qudusi man hay yad-e-lab-e-jaan bakhash Huzoor
Aalam-e-Noor man hay chashma-e-haiwaan-e-arab

Paya-e-jibreel nay sarkaar say kia kia alqaab
Khusro khail-e-malak khadim sultaan-e-arab

Bulbul-o-nailpar-o-kabuk bano parwano!
Mah-o-khursheed pe hanstay hain charagaan-e-arab

Hoor say kia kahain Moosa say magar ar’z karain
Ke hay khud husun-e-azal taalib-e-jaanan-e-arab

Karam Naat kay Nazdeek to kuch door nahi
Ke Raza-e-ajami ho sag-e-Hassan-e-Arab

Phir utha wilwila-e-yaad-e-mugeelan-e-Arab
Phit khincha daman-e-dil soo-e-bayabaan-e-Arab

Bag-e-firdos ko jatay hain hazaraan-e-Arab
Haye Sahraye arab haye bayabaan-e-Arab

Methi baatian teri deen-e-ajam emaan-e-Arab
Namkeen Husun tera Jaan-e-Ajam shaan-e-Arab

Ab tu hay girya-e-khoon gohar-e-damaan-e-Arab
Jis man do la’al thay zehra kay wo thi kaan-e-Arab

Dil wohi dil hay jo aankhoon say ho hairaan-e-Arab
Aankhain wo aankhain hain jo dil sy hon qurbaan-e-Arab

Haye kis waqat lagi phaans alam ki dil man
Ke buhut door rahay khaar-e-mugeelan-e-arab

Fasal-e-gul laakh na ho wasal ki rakh aas hazaar
Phooltay phailtay hain bay fasal gulustaan-e-arab

Sadqay hone ko chalay aatay hain lakhoon gulzaar
Kuch ajab rang say phoola hay gulustaan-e-arab

Andleebi pe jhagrhtay hain katay martay hain
Gul-o-bulbul ko larhata hay gulustaan-e-arab

Sadqay Rahmat kay kahaan phool kahaan khaar ka kaam
Khud hay daaman kash-e-bulbul gul-e-khandaan-e-Arab

Shaadi hashar hay sadqay man chutain gay qaidi
Ar’sh par dhoom say hay daawat-e-mehmaan-e-Arab

Charchay hotay hain ye kamhlaye huway pholoon man
Kiyoon ye din daikhtay paatay jo bayabaan-e-Arab

Teray bay daam kay banday hain rayeesaan-e-ajam
Teray bay daam kay bandi hain hazaraan-e-Arab

Hasht khuld aayen wahan kasab-e-latafat ko Raza
Chaar din barsay jahan abar-e-baharaan-e-Arab