Tera zarrah mah kaamil hay ya Gauth tera qatrah yam saayel hay ya Gauth

Tera zarrah mah kaamil hay ya Gauth tera qatrah yam saayel hay ya Gauth
Koi saalak hay ya waasil hay ya Gauth wo kuch bhi ho tera saayel hay ya Gauth
Qad-e-bay saaya-e-zil-e-kibriya hay to us bay saya-e-zil ka zil hay yaa Gauth
Teri jaageer man hay sharq ta garb qalamar-o-man haram ta hill hay ya Gauth
Dil ishq-o-rukh husun aayena hain aur in donoon man tera zil hay ya Gauth
Teri shama’e dil aara ki tab-o-taab gul-o-bulbul ki aab-o-gul hay ya Gauth
Tera majnoon tera sehra tera najad teri laila tera mahmal hya Gauth
Ye teri champaye rangat hussaini husun kay chaand subhuh-e-dil hay yaa Gauth
Gulustaan zaar teri pankhrhi hay kuli so khuld ka haasil hay ya Gauth
Ugaal us ka udhaar abraar ka ho jisay tera ulash haasil hay ya Gauth
Ishaarah man kia jis ne qamar chaak to us mah ka mah-e-kaamil hay ya Gauth
Jisay arsh-e-dom kehtay hain aflaak wo teri kursi-e-manzil hay ya Gauth
Tu apne waqat ka Siddiq-e-akbar Gani-o-Hyeder-e-aadil hay ya Gauth
Wali kia mursal aayen Khud Huzoor aayen wo teri waez ki mehfil hay ya Gauth
Jisay maangay na payen jaah waalay wo bin maangay tujhay haasil hay ya Gauth
Fuyooz-e-aalam ummi say tujh iyaan maazi-o-mustaqbil hay ya Gauth
Jo qarnoon sayar man aarif na payen wo teri pehli hi manzil hay ya Gauth
Malak mashgool hain us ki sana man jo tera zaakir –o-shaagil hay ya Gauth
Na kiyoon ho teri manzil arsh saani ke arsh-e-haq teri manzil hay ya Gath
Wahien say ublay hain saatoon samandar jo teri nahar ka saahil hya ya Gath
Malayek kay bashar kay jin kay halqay teri dho maah har manzil hya ya Gauth
Bukhaara-e-iarq-o-chisht-o-ajmair teri lo shama’e har mehfil hay ya Gauth
Jo tera Naam lay zaakir hay piyaaray Tasawwar jo karay shaagil hay ya gauth
Jo sar day kar tera soda khareeday Khuda day aqal wo aaqil hya Gauth
Kaha tu ne ke jo mango milay ga
Raza tujh say tera sayel hay ya Gauth