Tumharay Zarray ky par to sitarhaye falak

Tumharay Zarray ky par to sitarhaye falak
Tumharay fiel ki naqis misl ziaye falak

Agar cha chalay sitaroon say parh gay laakhoon
Magar tumharay talab man thakay na paye falak

Sar-e-falak na kabhi taba aastan puhuncha
Ke ibtida-e-bulandi thi intiha-e-falak

Ye mit kay un ki rawish par huwa khud unki rawish
Ke naqsh pa hay zameen par na sot-e-paye falak

Tumhari yaad man guzri thi jagtay shab bhar
Chali naseem huway band deed haye falak

Na jaag uthain kahin ah’l-e-baqee’e kachi neend
Chala ye naram na nikli sada-e-paye falak

Ye un kay jalwah nay ken garmiyan shab-e-israr
Ke jab say charkh man hain naqrah-o-talaye falak

Meray gani nay jawahir say bhar dia daaman
Giya jo kasa mah lay kay shab gada-e-falak

Raha jo qan-e-yak naan-e-sokhta din bhar
Mili huzoor say kaan-e-gehra jaza-e-falak

Tajammul-e-shab-e-isra abhi simat na chukka
Ke jab say wesi hi kotal hain sazbz haye falak

Khitaab-e-haq bhi hay dar baab-e-khalaq min ajlik’
Agar idhar say dam-e-hamd hay sada-e-falak

Ye ah’l-e-bait ki chaki say chaal sekhi hay
Rawan hay bay madad-e-dast aasya-e-falak

Raza ye naat-e-Nabi nay bulandiyan bakhashien
Laqab zameen-e-falak ka huwa sama-e-falak