Wo soo-e-lalah zaar phirtay hain teray din aye bahar phirtay hain

Wo soo-e-lalah zaar phirtay hain teray din aye bahar phirtay hain
Jo teray dar say yaar phirtay hain dar badar yoon hi khuwaar phirtay hain
Aah kal ayesh to kiye ham ne aaj wo bay qaraar phirtay hain
Har charaag-e-mazaar par qudsi kesay parwana war phirtay hian
Is gali ka gada hoon jis man mangtay taajdar phirtay hain
Jaan hain jaan kia nazar aaye kiyoon adaw gard-e-gaar phirtay hain
Phool kia daikho meri aankhoon man dasht-e-tayyibah kay khaar phirtay hain
Lakhoon qudusi hain kaam khidmat par laakhoon gard-e-mazaar phirtay hain
Wardiyan boltay hain har karay pahrah daitay sawaar phirtay hain
Rakhiye jesay han khana-e-zaad han ham mol kay ayeb daar phirtay hain
Haye gafil wo kia jagah hay jahan paanch jaatay hain chaar phirtay hain
Bayen rastay na ja musafir sun maal hay raah maar phirtay hain
Jag sansaan ban hay raat aaye gurg bahar-e-shikaar phirtay hain
Naf’s ye koi chaal hay zaalim jesay khaasay bijaar phirtay hain
Koi kiyoon pochay teri baat Raza
Tujh say kitnay hazaar phirtay hain


Warning: Use of undefined constant php - assumed 'php' (this will throw an Error in a future version of PHP) in /home/kalamdb/public_html/wp-content/themes/bulletin/urdu-single.php on line 46