Yaad man jis ki nahi hosh tan-o-jaan ham ko

Yaad man jis ki nahi hosh tan-o-jaan ham ko
Phir dikha day wo rukh aye mahar frozen ham ko

Dair say aap man aana nahi milta hay hamain
Kia hi khud raftah kia jalwah janaan ham ko

Jis tabassum nay gulustaan pe giraye bijli
Phir dikha day wo adaye gul-e-khandaan ham ko

Kaash aawaizah-e-qindeel Madinah ho wo dil
Jis ki sozash nay kia rashk charagan ham ko

Ar’sh jis khoobi-e-riftaar ka pa maal huwa
Do qadam chalk ay dikha sard-e-kharamaan ham ko

Sham’e Tayyibah say man parwaanah rahoon kab tak door
Han jila day sharer-e-aatash penha ham ko

Khof hay sma’e kharashi-e-sag-e-Tayyibah ka
Warna kia yaad nahi naala wafgaan ham ko

Khaak ho jayen dar-e-paak pe hasrat mit jaye
Ya Ilahi na phira bay sar-o-samaan ham ko

Khaar-e-sihra-e-Madeenah na nikal jaye kahin
Wahshat-e-dil na phira koh-o-bayabaan ham ko

Tang aaye hain do Aalam teri baitabi say
Chain lainay day tap-e-seena-e-sozaan ham ko

Paaoun garbaal huway raah Madeenah na mili
Aye junoon ab to milay rukhsat-e-zindaan ham ko

Meray har zakham-e-jigar say ye nikalti hay sada
Aye maleeh Arabi kar day namakdaan ham ko

Sair gulshan say aseeran-e-qaf’s ko kia kaam
Na day takleef-e-chaman bulbul-e-bastaan ham ko

Jab say aankhoon man samaye hay Madeenah ki bahar
Nazar aatay hain khizaan deedah gulustaan ham ko

Gar lab paak say iqraar shafaat ho jaye
Yoo na bay chain rakhay jo shish isyaan ham ko

Nayyar hashar nay ik aag laga rakhi hay!
Taiz hay dhoop milay saya-e-damaan ham ko

Raham farmaye ya shaah kea b taab nahi
Taabkay khoon rulaye gam-e-hijraan ham ko

Chaak-e-damaan man na thak jayeo aye dast-e-junoon
Purzay karna hay abhi jaib-o-graibaan ham ko

Pardah us chehrah-e-anwar say utha kar ik baar
Apna aayena bana usay mah-e-tabaan ham ko

Aye Raza was’f-e-rukh-e-Paak sunanay kay liye
Nazar daitay hain chaman murg gazal khawaan ham ko