Kuch Rahay ya na rahay mujh bay Asar kay samnay
Gumbad-e-Khazra rahy meri Nazar kay samnay
Gahay ba gahay jo kafalat kar raha hay khud meri
Aur kia mangoon bhala us chara gar kay samnay
Daikey kuch dunya bhi ham nay ghoom kar laikin janab
Sab safar bay kaif han Taiyybah kay safar kay saamnay
Ya Nabi ham ko Ataa kar itni shahee chand roz
Ham kahain ke ghar lia hay teray ghar kay samnay
Jo durood pak parh kar yad kartay han unhain
Jaati hay unj ki khabar khair-ul-Bashar kay saamnay
Mudd’a Abid Khuda nay us ka poora kar dia
Jo barastey Aankh daikhey un kay dar kay saamnay
Jashan-e-Aamad Rasool ALLAH hi ALLAH
Bi bi Aamina kay phool ALLAH hi ALLAH
Jab ke sarkar Tashreef lanay lagay
Horoon Gilman bhi Khushian mananay lagy
Har taraf Noor ki Roshni cha gaye
Mustafa kia milay zindagi mil gaye
Aye Haleema Teri Gaud man Aagay
Do no Aalam kay Rasool
Chehra-e-Mustafa jab Dikhaya gaya
Jhuk gay tary aur chand Sharma gay
Aamina daikh kar muskrany lagen
Hawwa Maryam bhi Khushiyan Mananay lagen
Aamina bi bi sab say kehnay lgen
Dua ho gaye Qabool ALLAH hi ALLAH
Shadyany Khushi bajay gay
Shadi kay nagmay sab ko sunay gay
Har taraf Shor Salle Ala ho gaya
Aaj paida Habeeb Khuda Ho gaya
To Jibreel nay bhi ye Ailan kar dia
Ye Khuda kay han Rasool ALLAH hi ALLAH
Noor ki tan gayen chadarain char soo
Horoon Gilman ki poori hui Aarzoo
Mustafa Mujtaba shah-e-konain wa makan
Rabb ki sarkar jab ho gay roo baroo
Phir Khuda nay kaha meri Mahboob Tum
Farsh say A’rsh tak Noor ka hay sama
Laye shareef dunya main Khair ul wara
Aisay Ummat ki Qismat Sanwarnay lagi
Barashain Rahmat ki barasnay lagen
Aye Haleema Teri loryon kay liye
Rabb kay Aa gay Rasool ALLAH hi ALLAH
Un ka saya Zameen par na Paya gaya
Noor say Noor daikho Juda na huwa
Ham ko aabid Nabi par Barha naz hay
Kia bhala meray Aaqa kaa Andaz hay
Jis ne Rukh par mili wo Shifa pa gaya
Khaak-e-Tayyibah teri dhool ALLAH hi ALLAH