haqiiqat me.n ho sajda jubba-saa.ii kaa bahaana ho
ilaahii meraa sar ho aur un kaa aastaana ho
tamannaa hai ki merii ruuh jab tan se ravaana ho
dam aa.nkho.n me.n ho aur pesh-e-nazar vo aastaana ho
zabaa.n jab tak hai aur jab tak zabaa.n me.n taab-e-goyaa.ii
tirii baate.n ho.n teraa zikr ho teraa fasaana ho
mirii aa.nkhe.n nahii.n aa.iina-e-husn ruu-e-saabir kaa
dil-e-sad-chaak un kii ambarii.n zulfo.n kaa shaana ho
balaa us kii Dare phir garmii-e-KHurshed mahshar se
tire lutf-o-karam kaa jis ke sar par shaamiyaana ho
unhe.n to mashq-e-tiir-e-naazukii dhun hai vo kyaa jaane.n
kisii kii jaan jaa.e yaa kisii dil kaa nishaana ho
na puuchh us ‘andaliib-e-soKHta-saamaa.n kii haalat ko
qafas ke saamne barbaad jis kaa aashiyaana ho
sar-e-‘bedam’ azal ke din se hai vaqf jabii.n-saa.ii
kisii kaa naqsh-e-paa ho aur ko.ii aastaana ho
‘adam se laa.ii hai hastii me.n aarzuu-e-rasuul
kahaa.n-kahaa.n liye phirtii hai justajuu-e-rasuul
KHushaa vo dil ki ho jis dil me.n aarzuu-e-rasuul
KHushaa vo aa.nkh jo ho mahv-e-husn-e-ruu-e-rasuul
talaash-e-naqsh-e-kaf-e-paa-e-mustafaa kii qasam
chune hai.n aa.nkho.n se zarraat-e-KHaak-e-kuu-e-rasuul
phir un ke nashsha-e-irfaa.n kaa puuchhnaa kyaa hai
jo pii chuke hai.n azal me.n mai-e-subuu-e-rasuul
balaa.e.n luu.n tirii ai jazb-e-shauq-e-salli-alaa
ki aaj daaman-e-dil khi.nch rahaa hai suu-e-rasuul
shagufta gulshan-e-zahraa kaa har gul-e-tar hai
kisii me.n ra.ng-e-alii aur kisii me.n buu-e-rasuul
‘ajab tamaashaa ho maidaan-e-hashr me.n ‘bedam’
ki sab ho.n pesh-e-KHudaa aur mai.n ruu-ba-ruu-e-rasuul
Rukh-e-Mahboob-e-Subhani kay Sadqay
Man is Noorani kay Sadqay
Shah-e-Aqleem-e-irfani kay Sadqay
Janab Gauth-e-Samdani kay Sadqay
Mueen uddin Ajmeri kay Qurban
Muhi uddin Jilani kay Sadqay
Bana hay seena Gulzar-e-Khaleeli
Man Dard-e-phani kay Sadqay
Tasadduq mah-e-Jabeenoon par zamana
Man apnay Peer Lathani kay Sadqay
Fida Baidam Ali kay ladaloon par
Rasoolullah kay jani kay Sadqay
Be khud kiye dete heyn, andaz-e-hijaabaana,
Aa dil meyn tujhe rakh lun aey Jalwa-e-jaanana.
Bas itna karam karna aey Jalwa Jaanana
Jab jaan labuon par ho Tum aa jaana.
Jee chahta hey tohfe meyn bhijoon man uneheyn aankheyn
Darshan ka to darshan ho nazraane ka nazrana.
Peene ko to pee lunga, par arz zara si hey,
Ajmeyr ka Saqi ho, Baghdad ka maykhana.
Kiyun aankh lagayi thee kiyun .aankh milayi thee.
Ab Rukh ko chupa bayithey kar kay mujhay deewana
Be dam meri qismat meyn sajdey heyn Usi Dar ke,
Chootey heyn na choote ga Sang-e-dar-e-Jaana’na