Ye Aarzoo nahi ke Duain hazar do
Parh kay Nabi ki Naat Lahid man utar do
Daikha abhi abhi hay nazar nay jamal-e-Yar
Aye maut! Mujh ko thori sey muhlat udhar do
Suntay han jan kuney ka lamha hay buhat kathan
Lay kar Nabi ka Naam ye lamha guzar do
Meri kareemman tiray dar ka faqeer hoon
Apnay karam ki bheek mujhay bar bar do
Gar jeetna hay ishaq man lazim ye shard hay
Khailo agar ye bazi to har cheez har do!!
Ye jan bhi Zahoori Nabi kay Tufail hay
Is jaan ko Huzoor ka Sadqa utaar do!
Jab Masjid Nabvi kay meenar Nazar aaye
ALLAH ki Rahmat kay aasar Nazar aaye
Manzar ho bayan kesay ?Alfaz nahi miltay
Jis waqat MUHAMMAD ka darbar nazar aaye
Bas yad raha itna seenay say lagi jali
Phir yad nahi kia kia anwar nazar aaye
Dukh dard kay maron ko Gamy ad nahi rahtay
Jab samnay Aankhon kay gamkhawar nazar aaye
Makkay ki fizaon main Taiyybah ki hawaon mian
Ham nay to jidhar daikha sarkar nazar aaye
Chorh Aaya Zahoori main dil wa jan madeenay main
Ab jeena yahan mujh ko dushwar nazar aaye
Jalwa gar Huzoor Ho gay
Sab andhairay door ho gay
A’rdh-e-Mustafa ki Khak kay
Zrray ashak Noor ho gay
In ki yaad main Khushi mili
Jab Gamoon say choor ho gay
In kay rastay main jo milay
Ranj bhi Suroor ho gay
Aap kay huway na jo qareeb
Wo Khuda say door ho gay
Jin main un ka wasta raha
Kaam wo Zaroor ho gay
Sadqa hay Zahoori Naat ka
Muaaf sab Qusoor ho gay