Ho gay han door sab ranj-o-alam
Jab huwa sarkar ka mujh par karam
Hay yaqeen Darbar man apnay mujhay
Eik din bulwain gay Shah-e-umam
Hay jisay nisbat meray sarkar say
Paas us kay kion bhala Aayengay Gam
Bas yehi hay iltaja Mahshar kay din
Aap rakh laina Gulamoon ka bharam
Jal uthain gay Aarzoon kay diyay
Jab Dar-e-Sarkar pe jayengay ham
Aarzoo ab hay yehi meri muyyan
Un kay rozay pe nikal jay ye dam
Hay ye dil ki Sada ya Nabi Nabi
Ho ata par ata ya Nabi Nabi
Jis gharhi Rooh tan say juda ho meri
Ho Wazeefa mera Ya Nabi Ya Nabi
Aap hi bakhshawain gay Mehsh’r kay din
Hoon bhala ya bura ya Nabi ya Nabi
Ayen jis dam firishtay meri qabar man
Ho laboon pe ya Nabi ya Nabi
Mustafa ka agar chahtay ho karam
Mil kay keh do Zara ya Nabi ya Nabi
Radd kabhi na Dua hogi us shakhas ki
Day ga jo wasta ya Nabi ya Nabi
Us muyyan-e-Hazeen pe karam kijiye
Dar guzar ho khata ya Nabi ya Nabi