Muqaddar baantane wala muqaddar baant deta hai
kabhi qatra kabhi poora samandar baant deta hai
mohabbat is ko ho jaye to phir mehboob ki khatir
zameen o aasan ka sara langar baant deta hai
agar mehfooz rakhna chahay –apne ghar ko dushman se
ababeelun ke lashkar mein woh kanker baant deta hai
yeh saari be basi, kaasa badasti kya tamasha hai ?
mera maalik; agar hissa barabar baant deta hai
woh jiski all ko ummat ne aashiq Tishna lab mara
suna hai hashar mein woh aabb kusar baant deta hai